Kya karoge jaankar dil ke yeh halaat
Kitni baar tootta phie bhi hum zinda hain
Unhone phir se ek aur tukda kiya dil ka
Unko apna samjha yahi sochke sharminda hain
Us ek naam se jud gaya mera ab naata hai
Jiska rang har rishte me nazar aata hai
Sameyte baithi thii kal tak jis aanchal ko main
Aj uspe'Wafa or Mohabbat'likha nazar aata hai
Na jaane kal ke naseeb mein kya likha hai
To fir kyon na hum bus aaj ki baat karen
Ye haseen lamhe laut kar nahin aane waale
Apne dil ki chahat se chalo mulakaat karen
Wo sunahare panno ki kitaab ek din khul jaayegi
Kaun hai kismat mein tumhe usse milwayegi
Saath tumhara bahaut denge raah mein aie musaafir
Jiska naam likha hai mukaddar mein wahi asli saath nibhayegi
Rangon ko suhana banane ka irada rakhte hain,
Khushiyon main gam ko chhupane ka vaada karte hain,
Zindagi ke har pal pe muskan ka vaayda karte hain!
Jis kalam se kisi ne woh bayaan likhe hain
Apne ess dil ke halaat tamaam likhe hain
No comments:
Post a Comment